LAFANGI BULBUL OR CHICHORA JUGNU

aik dafa ka zikr hai. nahi dou dafa ka zikr hai. meray khayal mai dou teen dafa ka zikr hai. ajee dafa karo jitni dafa ka bhi zikr ho. baharhaal, aik sunsaan morh pay nihayat chulbullee bulbul, Bai dhangay kaprhay pehnay kisi kaminay ka intezar kar rahi thi. woh kamina jo zaat ka bhi kamina tha kahin or nikl gaya. ab jesay jesay raat barh rahi thi, bulbul ki pareyshani mai izafa hota ja raha tha. magar woh yeh soch kar mutmaeen hogaye chalo is muashray mai kamino’n ki kami thori hai aik gaya dosra ayaa.

abhi woh yeh soch hi rahi thi kay samnay say seeti bajatay huwe aik pait bhar kay chichora jugnu namudaar huwa. pehlay usnay apni bum ki light maar kar us ko cherhna shuru kia. phir gana ganay laga “naach meri bulbul tujhay paisa milay ga”. gana sun kar Bulbul khekhekhe kar kay hansi or dil hi dil mai boli “Allah ki shaan dekho or tidday ka imaan dekho”. yeh sunn’a tha kay jugnu ko shadeed ghusa agaya or maray ghusay kay us ka pichwarh wala bulb lal peela honay laga. jugnu bola yun tou mai aik chota sa keerha hi sahi lakin jhatka 440 volt ka marta hun. idher bulbul jo pehlay hi kisi jugarh mai lagi thi. itra kar boli “acha yeh baat hai tou tum mujhay meray ghar tak chor dogay” *makkaar lomrhi ki muskurahat*. jugnu bola haan theek hai par meter say 10 ruppay upper lunga. kia karun baaji mehngai ka zamana hai opper say bijli kay unit ka tou aap ko pata hi hai kay commercial maqaseed ka kitna bill aata hai. Bulbul kay pass is kay siwa koi chara bhi nahi tha so woh uskay peechay holi.

jugnu nay makhsoos ghorhay taangay walay ki tarnha, mehaiz time pass guftugu kay liye siyasat or halat e hazra ka ghissa pitta mouzu shuru kardia. jis par bulbul nay sakht nagawari ka izhar karkay jugnu ko chup karadia. abhi woh thori dur hi gaye thay kay rastay mai jugnu ki shadeed qism ki load-shedding hogaye or har tarf ghata toop andhera cha gaya. bulbul nay yeh muajra dekha tou uski aik hi awaaz aye “hut teray ki satyanass”, janam jalay, backup pay UPS ka setup bhi nahi teray pass kanglay keerhay, naalay ki paidawaar or najanay ussay kitni salawatein sunayeen. bai basi ki halat mai bulbul nay jugnu ko jee bhar kay lukhnaowee andaaz mai gaaliyaan deen. dafa dur, haram kay tohfay, nigorh maray, shiekhi tou aesay maar raha tha kay bus poucho’n mat.

Allama iqbal (mimic) nay bhi is waqeeyai kay baray mai kia khoob farmaya hai :

hain log wohi jahan mai dilchasp
 jo bigartain hain kaam dosra ka

 

lafangi

Author : zubair siddiq

About xubiant

Engineering graduate with lots of passion toward art and music.

Posted on June 5, 2012, in Uncategorized. Bookmark the permalink. 1 Comment.

  1. Hahaha it was fun reading this piece of work. Well done xubiant.

Leave a comment