#TimeUrdu signature ghazal [II]

              “Talkhi-ye-Zeest”

              kia hi khoob ehtaimam kar rahay hain
khamoshi say jou kaam kar rahay hain

                 manzil e maqsood hai pehnawaa jinka
khaas kar din ko shaam kar rahay hain

               taarhap ki qindeelain agarchay roshan
zaahir magar iltaiyaam kar rahay hain

             paiwast hain rooh mai kaye talkhiyaan
muskuraahat ka ilzaam kar rahay hain

           khalqat kiun nahi parhti aankhain inki
uljhanoon ka jo anjaam kar rahay hain

        bai faida’a hee hain teray alfaaz zubair
konsa log tujhay salaam kar rahay hain 

Poet : Zubair Siddiq

About xubiant

Engineering graduate with lots of passion toward art and music.

Posted on November 22, 2013, in Uncategorized. Bookmark the permalink. Leave a comment.

Leave a comment